Ehsaas-e-rang

 


Aaj is mehfil mein, main thoda sa rang daal doon..
Sabhi aaye hai hasne yahan, par main usme thoda sa ehsaas daal doon.
Baatein bahut choti si hai, koshish hai ache se pesh karna.
Agar kuch baatein, rang rang mein rang jaye, toh use maaf zaroor karna.


Is khubsurat rangeen duniya mein, aaj toh beshumar besharam rang hai.
Rang ka kya kasoor, aaj yeh duniya hi matlabi aur be-dhang hai.
Din mein chahate hai chandni dekhna aur raaton mein chahate hai roshni.
Chamak agar na ho, toh insaan bhi ban jata hai pareshani.


Naye-purane, har ek baat aaj sachhe lagte hai.
Kuch dil mein sama te hai, toh kuch dil mein aaj bhi chubhte hai.
Phir iss rang ka daromadar kaha, rangeen toh insaan hote hai.
Aap karo toh dariya-dili, aur hum kare to gunhegaar kehlate hai.


Kabhi socha na tha, ke iss jagah bhi aa paunga.
Ruksathi agar na doge, toh ghar kaise jaaunga.
Hasi toh nahi, par kuch khas chhor ke ja raha hoon.
Rang toh bahut hai, par aaj ehsaas-e-rang ke sath yeh mehfil khatam karta hoon.

-written by ©thesudipbiswas


Post a Comment

0 Comments