Halat-e-ishq

 


Khwabon mein hum jab apne armaano se rubaroo hue.

Lifafe mein bandh karke humhe kahi dur bheja gaya.

Jazbato se lipat jati hai, tanhai bhari sard raatein.

Zara si be-hoshi kya chhayi, humhe to janaze ki taraf le jaya gaya.

Halki si tapish thi iss dil mein, bas saanson par yakeen na tha.

Khush hona toh har koi chahata hai, par humhe to beech-bazaar mein toda gaya.

Sikayaat aab kisi se kuch bhi nahi hai, bas yaaddasht dheere dheere kam ho jaye toh thik,

Par agar kahi phir se jud jaye halat-e-ishq, tab sochenge humse  bahut bada mazaak kiya gaya.

-written by ©thesudipbiswas



Post a Comment

0 Comments