Zikr khat ka



Aaj mere ghar pe, unka ek khat aaya tha.

Naam usme kuch bhi nahi, par zikr mein sirf main aaya tha.

Hum apna chasma kya utaarey apne aankhon se.

Humhe unke khat ke sath, akele mein jake rona padha tha.

Subah se raat hui, raat se savera.

Woh khat mere se aise lipti thi, jaise woh hai mera basera.

Sabhi aaye mere pass, par meri behoshi ko hosh mein koi la nahi paya.

Hum toh ruksath ho gaye the kab ke, par mere khat mein, unka zikr nahi aaya tha.

-written by ©thesudipbiswas


Post a Comment

0 Comments