Khoya pyaar

 


Ek pal ke liye hum, unke kareeb kya thahere.

Hamari saansein, unki saanson se jake takda gayi.


Dhoop bahut tez tha, achanak se hawa kya chali.

Hamari parchayi, unki parchayi mein jake sama gayi.


Bade tehzeeb ke sath, jab hum unse punche unka naam.

Toh woh muskurai aur hatho mein mere, ek lifafa pakdakar, waha se chali gayi.


Likha uss mein kuch bhi na tha, bas gulab ke kuch sukhe patte hi the.

Barso pehle ek gulab diya tha humne kisi ko.

Sayad wahi aaj humhe, woh deke, waha se chali gayi.

-written by ©thesudipbiswas




Post a Comment

0 Comments