Jazbaat

 



Hum apne jazbaaton ko beechne ke liye bazaar chale gaye.

Ghanto tak baithe rahe, par koi kharidar meri taraf aaya bhi nahi.


Thak haar kar, jab sab kuch samet ke laut rahe the.

To ek bujurg bole, "Beta, kal kya fir aayoge".

To hum bole, "Sayad, aaj iska koi kharidar hi nahi".


To woh bujurg bole,


"Bikta hai har chiz yahaan, par jazbaaton ki keemat koi samajh nahi pata.

Baithta hoon main iss bazaar mein kai saalon se. Par yaad rakhna, inn jazbaaton ka kahi koi kharidar nahi hota".

-written by ©thesudipbiswas




Post a Comment

0 Comments