Hausala




Ek raah chune the humne kabhi,

Par woh aaj hamare pehchan ban gaye.

Khwabo mein jin khwabo ka zikr hua tha kabhi,

Woh aaj hamare haqiqat ban gaye.


Duniya-dari humhe mat sikhaya karo,

Bewajha har jayoge.

Asmaan se kaho thoda aur uncha hone ko,

Nahi toh use bhi hum chumke chale ayenge.


Parwah karta hoon sirf insaniyat ki,

Na uljha hoon kabhi rang aur roop mein.

Gir ke utha hoon, uth ke gira hoon.

Par kabhi girgiraya nahi kisike ghutno mein.


Kon apna, kon paraya yeh hisab na kabhi kar paye.

Jo chhot apno ne diye, woh hum unhe na-jane kyun lautana paye.


Irada hai bas aage badhne ki,

Aur koshish hamesha karte bhi rahenge.

Agar kismat ka sath mil jaye to hum,

Banzar zameen ko bhi gulistan bana denge.


-written by ©thesudipbiswas



 


Post a Comment

0 Comments